Friday, July 3, 2015


                                                            Dream Come true

Ek gao me ek chota sa pariwar tha. Wo waha khusi khusi rahte the. pariwar me 5 log the Sumit uske mummy papa aur dada dadi. uske papa ek chote se dukan me kam karte the aur use se unke family ka kharcha chal jata tha.

        Sumit ka man padhai me nahe lagta tha wo bhut accha writer tha laken uske papa chahte the ki wo padh likh k engineer bane. usne apne papa k kahne pe padhai jare rakhe. uske papa k paas thodi se jameen the unhone use bech diya aur usko engineer  banane ka intajam kar diya. Sumit ne apne papa k kahne par college me admission le liya aur padhne laga lakin uska dil to apne kahaniyo me laga rahta tha but jaise taise usne apna first year pura kar liya.

Sumit hamesa apne sapno me khoya rahta jiske karan wo man lagaa k padh nahe pa raha tha ek din uske mulakat apne college ke ek khubsurat ladki se hue. us ladki ka name anjali tha, wo usse ek tarfa pyar karne laga ab uska dil padhai se ekdam hat gaya. ek din usne apne dil ki bat batane k liye Anjali se dosti kar li. tab use pata chala ki Anjali kisi aur se pyar karte hai. Sumit ka dil tut gaya lekin Anjali use apna dost bane rahne k liye mana lete hai. time betata hai aur 2nd year ka result aata hai ladka badi muskil se paas hota hai tab use apne galtiyo ka ehsas hota hai laken wo dil se writer hai to wo apne sapno se bahar nahe aa pata aur Anjali usse apne dil ki bate batate rahte hai jiske karan wo ab aur jada paresan rahne lagta hai. Ek din anjali usse kahte hai ki uska uske boy friend se brekup ho gaya aur bhut rote hai Sumit use samghata hai aur bolta hai ki sab thik ho jayega.


Time betata hai aur unka course complete ho jata hai. wo dono acche dost bane rahte hai aur alag ho jate hai.Sumit job ki talash me delhi chala jata hai waha par use job nahe milte wo bhut dhudhta hai jab thak jata hai to ek din wo bpo me naukri kar leta hai. but uska man nahe lagta wo aaj bhi apne sapno se bahr nahe aa pata.

Ek din wo apne sapno ko likhna suru karta hai.. aur apne likhe hue kahaniya apne dosto ko dekhata hai. wo dost uspe bhut haste hai. wo faisala karta hai ki wo apne dil ki sunega aur wo apne kahaniyo k sath mumbai jane ka faisla karta hai. Uske paas apne kahaniiyo k alawa kuch nahe hota wo mumbai jata hai. waha pahuch kar uske paas kuch paise jo bache the usse kuch din apne kahaniya kuch directors ko dekhata hai but koi uske kahaniya nahe padhta but wo himmat nahe hharta.

wo waha ek choti se company me kam karne lagta hai taki wo apna kharcha chala sake aur wo kahaniya likhna jare rakhta hai. wo rat me company me kam karta hai din me apne kahaniyo k liye ek director ki talash karta hai.

Ek din wo bhut dukhi man se ja raha hota hai rat me job karne ke karan uske aankhe ekdam lal surkh hote hai wo ek park me road k kinare baith jata hai tabhi waha ek aadmi aata hai hawa k karan Sumit k hath se kahaniyo k panne bikhar jate hai wo aadme un panno ko uthataa hai aur padhne lagta hai use wo kahaniya bhut pasand aate hai wo Sumit se kahta hai ki wo uske kahaniyo ko padhna chahhte hai. Sumit unhe wo kahaniya de deta hai. aur wo aadmi use apna mobile no deker chala jata hai.


Sumit bhut niras ho jata hai aur faisal karta hai ki wo ab ek naukari dudhega jisse wo apne aur apne ghar walo ka sapna pura kar sake. wo mumbai me naukari dudhne lagta hai. kuch din use waha dusre naukari nahe milte. kuch dino bad wo ek news paper me ek stroy padhta hai wo dekhta hai ki ye to uske he kahani hai jis kahane per ek film banane ja rahe hai.

use us aadmi ki yad aate hai jise usne apne kahani di the wo us aadmi k no per call karta hai tab wo aadmi kahta hai ki wo use nahe janta. Sumit bhut niras ho jata hai. But ab uska bharosa aur badh jata hai ki uske kahaniya logo ko pasand aayege aur wo phir se naye director ki talash suru kar deta hai.
uske mulakat mr Vikram se hote hai wo unhe apne kahaniya padhne k liye razi kar leta hai. wo uske kahaniyo se bhut prabhavit hote hai aur use writer ki job de dete hai apne productuion me.

jaldi he uske story pe ek movie bante hai aur wo super hit ho jate hai pahle bar Sumit ko apne asli taqat ka pata chaalta hai.


lesson from stroy " belive in yourself and live with your dream"